Wednesday, April 09, 2025

Wednesday, 25 January 2012

Patthar ke Jigar waalo-Dr Bashir Badr




Patthar ke Jigar waalo Gham mein wo rawaani hai
Khud raah bana lega behta hua paani hai

Ik Zehan-e-Pareshaa' n mein Khaab-e-Ghazalistan hai
Patthar ki Hifaazat mein Sheeshe ki Jawani hai

Dil so jo Choote Baadal To Aankh mein Saawan hai
Thehra hua Dariya hai Behta hua paani hai

Aye Peer-e-Khiradmandaa 'n Dil Ki bhi Zaroorat hai
Yeh Shehar-e-Ghazaalaa' n hai Yeh Mulk-e-Jawaani hai

gham Waja-e-Figaare- eDil , Gham Qaraar-e-Dil
Aansoo kabhi Sheesha hai , Ansoo kabhi Paani hai

Is Aasra-e-Dil par Hum ne Bhi Kafan pehna
Hans kar koi Poochega kya Jaan ganwani hai

Din Talkh Haqaayeq ke Sehraaoo'n ka Sooraj hai
Shab-e-Gesoo- e-Afsaana Yadoo'n ki Kahani hai

Wo Misra-e-Awara Deewanoo'n pe bhari hai
Jis mein Terey Gesoo ki Berab't Kahani hai







Join Best Yahoo Groups



Join Best Google Groups

Kindly Bookmark this Post using your favorite Bookmarking service:
Technorati Digg This Stumble Stumble Facebook Twitter
YOUR ADSENSE CODE GOES HERE

0 comments:

 

| aB walL © 2009. All Rights Reserved | Template Style by My Blogger Tricks .com | Design by Brian Gardner | Back To Top |